Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2012

Kho jao

Har subah woh suraj ugta hai, Har shaam doob jaata hai, Har raat hum sotein hain, Khud ki duniya ek banaake, Usmein rang bhartein hain, Woh khwaab hum dekhtein hain, Woh raatein hum jeetein hain, Un raaton me ek alag see zindagi, Hun jeetein hain, Aur phir harr subaah ho jaati hai, Uss suraj ki tarah, Hum jagtein hai, Hum uthtein hain Kaam kartein hain, Hastein hain, Muskuraatein hain, Magar kya yahi hum chahtein hain? Aur phir jab woh din dhalta hai, Hum waapis aatein hain, Aur usi bistar oar harr raat sotein hain, Un khaabo ko phir jeetein hain. Kuch paatein hain, Kuch Khotein hain, Woh kuch pall jinmein hum jeetein hain, Woh kuch pall jinmein hum rotein hain, Woh kuch pall jo humaare hain, Un sabb palon ke liye, So jao, Utho, kuch naya karo, Aur kho jaao.